Juma Mubarak (Friday)

Juma Mubarak


    Allah’s Messenger (PBH) mentioned the day of Jumu’a then said:
    "There is a time in it (Friday) at which no Muslim would stand up while praying and beg Allah the Most High, for something but He would give it to him" and he (PBH) pointed with his hand that (this time) is short. [Sahih Bukhari : 883]

Sunnah at The Day Juma Mubarak:


1. Cut Nails
2. Have a Ghusal & Wearing Perfume (Alcohol Free ) if available.
3. Salaat al-Jumu’ah (Friday prayer).


4. Making lots of du’aa’. (between the time the Imam sits down until the time the prayer is over and after `Asr until sunset).

5. Reading Soorat al-Kahf.

6. Sending a lot of blessings upon the Prophet (peace and blessings of Allaah be upon him). 



Darood habibiya

darood habibiya

Kya aap jante hain?


Hamare PYARE AAQA SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ke
*WALID KA NAAM: ABDULLAH
*WALIDA: AAMINA
*DADA: ABDUL MUTTALIB
*DADI: FATIMA BINT-E-AMIR
*NANA: WAHAB
*NANI: BIRRAH
*AAP KI AZWAAJ KI TADAD: 11
*SHEHZADIYA: 4
*CHACHA: 14
*PHUPHIYA: 6
*DOODH SHAREEK BHAI:6
*DOODH SHAREEK BAHENE: 3
*DAMAD: 3
*NAWASE: 5
*NAWASIAN: 3
*MOAZZAN:4
*PEHRE DAR: 9
*GHULAM: 40


SUNEHERI BATEIN:


Kya aap jaante hain yeh SUNEHERI BATEIN


Wazu Se Pehle Kalma Or Khul-Hu-ALLAH Padne Se Jitne Pani Ke Katre Zameen Par Girenge Utne Gunaah Maaf Ho Jaayenge Or Utni Hi Nekiyaan Likhi Jayegi.
(Wazu Karte Waqt Jism Ka Jo Hissa Dhoyen Uske Liye Dua Karien)
1: Hath Dhote Waqt: Ya ALLAH, Haathon Ke Gunaah Maaf Farma.
2: Kulli Karte Waqt: Ya ALLAH, Zabaan Ke Gunaah Maaf Farma.
3: Naak Saaf Karte Waqt: Ya ALLAH, Kabar Mein Jannat Ki Khushboo Ataa Karna.
4: Chehra Dhote Waqt: Ya ALLAH, Qayamat Ke Din Apna Noor Paida Karna Or Meri Aankho Ke Gunaah Maaf Farma.
5: Sar Ka Masah Karte Waqt: Ya ALLAH, Qayamat Ke Din Apni Rehmat Ka Saaya Karna.
6: Kaan Saaf Karte Waqt: Ya ALLAH, Jannat Ki Khushkhabri Sunana.
7: Paon Dhote Waqt: Ya ALLAH, Mujhe Seedhe Raaste Par Chalne Ki Taufeeq Ataa Farma.
RAAT K Waqt Jab Kutte K Bhonkne Ki Aawaz Sunai De To ALLAH Ki Panah Mango, Kyu K Wo Aisi Makhloq Dekhte Hei Jo Hum Nahi
Dekh Sakte.
Or Jab Raat Ko Zaruri Kaam Na Ho To Bahar Kum Hee Nikla Jay
Kyu K Raat K Waqt ALLAH Tala Apni Makhloq Mei Se Jise Chahta Hei Fela Deta Hei.
Bismillah Padh Kar Darwaze Bandh Kiya Kare
Kyu K Shetan Wo Darwaza Nahi Khol Sakta Jise Bismillah Padh Kar Bandh Kiya Gaya Ho.
Pani K Bartan Dhank K Rakha Kare Khas Tor Par Raat ke Waqt.
Acchi Or Pur Sakun Nind K Liye Durud Pak Padh K Soya Kare.




Q: Sabse Pahla Badsha Jisne SooliKi Saza Di. Kaun Hai Aur Kisko Di?

A: Firauon Pehla Badshah Hai Jisne Haath Pair Katne Aur Sooli Ki Saza Di,Un Jadu Garon Ko Jo Hazrat Moosa Alaihissalam Par Imaan Laye The.
(Khaza-E Nul Irfan,P 9,R 5) 

Q: Sabse Pahle Duniyan Me Kaunsa Janwar Bimar Huwa?

A: Woh (Sher) Janwar Bimar Huwa Jo Kashtiye Nooh
Me Sawar Tha, Ye Sher Pahla Janwar Hai Jo Duniya Me Bimar Huwa.
Abi Ibn Hatim Ki Riwayat Hai Ke Rasoolallah Swallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya: Hazrat Nooh Alaihissalam Jab Tamam Janwar Ko Apni Kashti Me Sawar Kar Chuke To Logon Ne Kahake Sher Ki Maujoodgi Me Baqi Janwar Kaise Aaram Se Rah Sake Ge. Tab Allah Pak Ne Sher Par Bukhar Daldiya Jisse Woh Chupchap Baitha Raha,Isse Pehle Zameen Par Ye Bimari Nahi Thi. 


Q:
Rooh Qabz Karne Ke Liye "Malakul Maut" Kitne Farishton Ko Apne Saath Le Kar Aate Hain?

A: Momin Ki Rooh Qabz Karne Ke Liye Malkal Maut Apne Hamraah "Rahmat" Ke 6 Lakh Farishte Laate Hain... Aur Kafir Ki Rooh Qabz Karne Ke Liye 6 Laakh "Azab" Ke Farishte Unke Saath
Hote Hain... Allahu Akbar 

(Ma'rijun Nubuwwa,Jild-3 , Safa No 105)


Q: Us Farishte Ka Kya Naam Hai Jo"Qiyamat" Ke Din Zameen Ko Lapete Ga?.

A: Us Farishte Ka Naam "Riyafeel" Hai Jo Qiyamat Ke Din Tamam Zameen Ko Lapete Ga. 
(Al Ittiqan Fi Ulumul Quran,Jild - 1 Safa No -60) 


Q:
Woh Kaunsa Farishta Hai Ke Jiske Mathe Par Saara "Quran" Likh Diya Gaya Hai?.

A: Woh Hazrt Israfeel Alaihissalam HainKe Jinki Peshani Par Poora Quran Likh Diya Gaya Hai. 
(Tafseer Naimi,Jild-2 Safa No-309) 


Q:
Woh Kaunsa Farishta Hai Jo QiyamatKe Din Logon Ko Maidan-E Mahshar Ki Taraf Bulayega?

A: Woh Hazrat Israfeel Alaihissalam Hain... Ba'z Ne Kaha Hai Ke Nidaa To Hazrat Jibreel Alaihissalam Denge, Aur Soor Hazrat Israfeel Alaihissalam Phoonke Ge.
(Savi Jild - 3 , Safa No 65) 


Q:
Jannat Ke Khazin Farishte Ka Kya Naam Hai?

A: Jannat Ke Farishte Ka Naam"Rizwan" Alaihissalam Hai. 

Q: Dozakh Ke Khazin Farishte Ka Naam Kya Hai?

A: Dozakh Ke Khazin Fariste Ka Naam"Malik" Alaihissalam Hai.
(Al Ittiqan Fi Ulumul Quran,Jild-1,Safa No-60) 


Ungliyon k Naam (fingers name):


Qayamat ke din ek sawal yeh bhi poocha jayega ke apni ungliyon k Naam batao.

jawab: apni Hath ki chhoti ungli (finger) se start karen. 
(1) aameen.

(2) amaanat

(3) jannat

(4) shahaadat

(5) farz  

ye wo baat hai jo boht kam logo ko malum hogi. 
Please DEEN~E~ISLAM Ke Bare Main Aur Logon ko Bataen.
5 jagah hasna 25gunah k barabar he.


1.QABRASTAN me
2.JANAZE k piche
3.MAJLIS me
4.TILAWAT-E-QURAN me
5.MASJID me



टिप्पणियाँ

  1. जुम्मे का दिन एक अज़ीम दिन है, अल्लाह तआला ने इस के साथ इस्लाम को अज़मत दी और येह दिन मुसलमानों के लिये ख़ास कर दिया, फ़रमाने इलाही है : जब जुम्मे के दिन नमाज के लिये पुकारा जाए पस जल्दी करो अल्लाह के ज़िक्र की तरफ़ और खरीदो फरोख्त छोड़ दो। इस आयत से मालूम हुवा कि अल्लाह तआला ने जुम्मे के वक्त दुन्यावी शगल हराम करार दिये हैं और हर वो चीज़ जो जुमा के लिये रुकावट बने ममनूअ करार दे दी गई है। हुजूर सल्लल्लाहो अलैह व सल्लम का फरमान है कि तहक़ीक़ अल्लाह तआला ने तुम पर मेरे इस दिन और इस मकाम में जुमा को फ़र्ज़ करार दे दिया है। एक और इरशाद है कि जो शख्स बिगैर किसी उज्र के तीन जुम्मे की नमाजें छोड़ देता है अल्लाह तआला उस के दिल पर मोहर लगा देता है। इस पेज से हजारों खुबसूरत जुम्मा मुबारक इमेजेज डाउनलोड कर सकते हैं
    1000+ Jumma Mubarak image

    जवाब देंहटाएं

एक टिप्पणी भेजें

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

Dua To Solve All Problems Quickly

Namaz-e-isha